raat andheri shahar ki galiyon mein ab sannaTa hoga
raat andheri shahar ki galiyon mein ab sannaTa hoga
Fida-ul-Mustafa Fidwi
MORE BYFida-ul-Mustafa Fidwi
raat añdherī shahar kī galiyoñ meñ ab sannāTā hogā
kyā ghar kī dahlīz pe ab tak raushan koī diyā hogā
merā ḳhālī kamra merī raah takegā raat tamām
ghar se bāhar raat guzārūñgā to vo tanhā hogā
maiñ vo shajar huuñ jis ko apne girne kā afsos nahīñ
mujh pe baserā karte haiñ jo panchhī un kā kyā hogā
maiñ na rahūñgā merī bāteñ yaad tumheñ jab ā.eñgī
rañg kabhī ruḳhsār kā uḌ jā.egā kabhī gahrā hogā
aag ke is paikar ko ḳhud apnī aag meñ jalte dekhā hai
tum ne samundar meñ sūraj ko Dūbte kab dekhā hogā
raat andheri shahar ki galiyon mein ab sannaTa hoga
kya ghar ki dahliz pe ab tak raushan koi diya hoga
mera KHali kamra meri rah takega raat tamam
ghar se bahar raat guzarunga to wo tanha hoga
main wo shajar hun jis ko apne girne ka afsos nahin
mujh pe basera karte hain jo panchhi un ka kya hoga
main na rahunga meri baaten yaad tumhein jab aaengi
rang kabhi ruKHsar ka uD jaega kabhi gahra hoga
aag ke is paikar ko KHud apni aag mein jalte dekha hai
tum ne samundar mein suraj ko Dubte kab dekha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.