raat apni thi KHwab apna tha
raat apnī thī ḳhvāb apnā thā
saath mere nisāb apnā thā
paas apne thī bādshāhī bhī
har jagah māhtāb apnā thā
raushnī bhī ḳhilāf hai ab to
haañ kabhī māhtāb apnā thā
saare manzar hī ho ga.e ġhā.eb
aañkh apnī sarāb apnā thā
saarī ḳhushiyāñ thiiñ aap kī jānib
ġham magar be-hisāb apnā thā
ban ke āñkhoñ meñ aks jaagā hai
jo kabhī ham-rikāb apnā thā
raat apni thi KHwab apna tha
sath mere nisab apna tha
pas apne thi baadshahi bhi
har jagah mahtab apna tha
raushni bhi KHilaf hai ab to
han kabhi mahtab apna tha
sare manzar hi ho gae ghaeb
aankh apni sarab apna tha
sari KHushiyan thin aap ki jaanib
gham magar be-hisab apna tha
ban ke aankhon mein aks jaga hai
jo kabhi ham-rikab apna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.