raat bahut sharab pi raat bahut paDhi namaz
raat bahut sharāb pī raat bahut paḌhī namāz
ek vuzū meñ ho ga.ī mujh se ka.ī ka.ī namāz
tum to azaan de ke yaar jaane kahāñ chale ga.e
masjid-e-jism kyā batā.e kaise paḌhī ga.ī namāz
mere baġhair ho na paa.ī koī namāz-e-zindagī
hogī magar mire baġhair merī vo āḳhirī namāz
maiñ bhī bahut nashe meñ thā nashe meñ thā imaam bhī
us ne paḌhā.ī jaane kyā maiñ ne bhī kyā paḌhī namāz
but-kada thā ki mai-kada saaqī thā but ki thā ḳhudā
sub.h rahā na kuchh bhī yaad raat bahut paḌhī namāz
kaun sunā.egā mujhe merī azaan kī azaan
kaun paḌhā.egā mujhe merī namāz kī namāz
ye bhī koī maraz hai kyā chal diye phir namāz ko
paḌh ke to aa.e the huzūr aap abhī abhī namāz
jaise ki ek hī ġhazal hotī hai saarī umr meñ
vaise hī saarī umr meñ hotī hai ek hī namāz
raat bahut sharab pi raat bahut paDhi namaz
ek wuzu mein ho gai mujh se kai kai namaz
tum to azan de ke yar jaane kahan chale gae
masjid-e-jism kya batae kaise paDhi gai namaz
mere baghair ho na pai koi namaz-e-zindagi
hogi magar mere baghair meri wo aaKHiri namaz
main bhi bahut nashe mein tha nashe mein tha imam bhi
us ne paDhai jaane kya main ne bhi kya paDhi namaz
but-kada tha ki mai-kada saqi tha but ki tha KHuda
subh raha na kuchh bhi yaad raat bahut paDhi namaz
kaun sunaega mujhe meri azan ki azan
kaun paDhaega mujhe meri namaz ki namaz
ye bhi koi maraz hai kya chal diye phir namaz ko
paDh ke to aae the huzur aap abhi abhi namaz
jaise ki ek hi ghazal hoti hai sari umr mein
waise hi sari umr mein hoti hai ek hi namaz
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 57)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.