raat be-tarah dhaDka aasman ka sina
raat be-tarah dhaḌkā āsmān kā siinā
kahkashāñ sirhāne thī TūTtā thā ā.īnā
saaya saaya utrā hai ḳhauf āsmānoñ se
kū-ba-kū bhaTaktī hai ik havā-e-nā-bīnā
paḌ gayā hai dam lene māñda-e-nafas koī
ḳhvāb-soḳhta lamhe ḳhaak bistar-e-kīna
bāvḌī havāoñ meñ TūTne se gumbad ke
dekhiye kahāñ pahuñche ab khulā huā ziinā
phuuT phuuT kar tanhā roī ābla-pā.ī
har qadam pe ruk ruk kar raah kā lahū piinā
ug rahī haiñ āñkhoñ meñ aarzū kī chaTTāneñ
rassiyoñ meñ shal baazū shang kohkan jiinā
kār-zār dam le le munjamid hai bū-e-ḳhūñ
baj chuke rabāb-o-daf chup hai qulqul-e-mīnā
raat be-tarah dhaDka aasman ka sina
kahkashan sirhane thi TuTta tha aaina
saya saya utra hai KHauf aasmanon se
ku-ba-ku bhaTakti hai ek hawa-e-na-bina
paD gaya hai dam lene manda-e-nafas koi
KHwab-soKHta lamhe KHak bistar-e-kina
bawDi hawaon mein TuTne se gumbad ke
dekhiye kahan pahunche ab khula hua zina
phuT phuT kar tanha roi aabla-pai
har qadam pe ruk ruk kar rah ka lahu pina
ug rahi hain aankhon mein aarzu ki chaTTanen
rassiyon mein shal bazu shang kohkan jina
kar-zar dam le le munjamid hai bu-e-KHun
baj chuke rabab-o-daf chup hai qulqul-e-mina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.