raat bhar aansu baha kar ye dupaTTa nam kiya
raat bhar aañsū bahā kar ye dupaTTa nam kiyā
sub.h is ko hī nichoḌā pyaas ko phir kam kiyā
zaḳhm dil ke yūñhī chhoḌe kī jarāhat bhī nahīñ
na hakīmoñ se milī na zaḳhm par marham kiyā
zindagī ke haath se mujh ko milī hai maut bhī
ik dafa maarā nahīñ ye khel bhī paiham kiyā
ashk-rezī kī tumheñ aadat kabhī bhī thī nahīñ
aaj aisā kyā huā jo aañkh ko pur-nam kiyā
ruuh tab hī mar chukī thī chhoḌ kar jab tum ga.e
jism ke marne pe tum ne aaj kyoñ mātam kiyā
raat bhar aansu baha kar ye dupaTTa nam kiya
subh is ko hi nichoDa pyas ko phir kam kiya
zaKHm dil ke yunhi chhoDe ki jarahat bhi nahin
na hakimon se mili na zaKHm par marham kiya
zindagi ke hath se mujh ko mili hai maut bhi
ek dafa mara nahin ye khel bhi paiham kiya
ashk-rezi ki tumhein aadat kabhi bhi thi nahin
aaj aisa kya hua jo aankh ko pur-nam kiya
ruh tab hi mar chuki thi chhoD kar jab tum gae
jism ke marne pe tum ne aaj kyon matam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.