raat-bhar jage sawere so gae
rāt-bhar jaage savere so ga.e
phailte baḌhte añdhere bo ga.e
haath aa.ī ye añdherī raat hī
the vo jo kuchh bhī the mere so ga.e
ḳhauf-bhar āvāzeñ haiñ atrāf meñ
mish.aleñ bujhtī haiñ Dere to ga.e
haath mere the vo mere hī to the
haath se chhūTe vo mere lo ga.e
'shāh' apne ko maiñ dekhūñ kis tarah
the ujāle ke jo phere kho ga.e
raat-bhar jage sawere so gae
phailte baDhte andhere bo gae
hath aai ye andheri raat hi
the wo jo kuchh bhi the mere so gae
KHauf-bhar aawazen hain atraf mein
mishalen bujhti hain Dere to gae
hath mere the wo mere hi to the
hath se chhuTe wo mere lo gae
'shah' apne ko main dekhun kis tarah
the ujale ke jo phere kho gae
- Book : Shab Aaftaab (Pg. 135)
- Author : Shah Husain Nahri
- Publication : Nawa-e-deccan Publications, Aurangabad (M.S.) (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.