raat bhar tum na jagte rahiyo
raat bhar tum na jāgte rahiyo
ḳhvāb āñkhoñ meñ pālte rahiyo
ek lamhe meñ faisla karnā
umr bhar yaañ na sochte rahiyo
jo kisī kī sunā nahīñ ab tak
us ḳhudā ko na pūjte rahiyo
vaqt ke saath saath chalnā tum
ik jagah to na baiTh ke rahiyo
bhuul kar bhī na lo yahāñ ehsāñ
is balā se to bhāgte rahiyo
apnī hastī hī kyā so tum ḳhud ko
is jahāñ meñ na DhūñDte rahiyo
apnī aadat udaas rahnā hai
so mire saath soch ke rahiyo
raat bhar tum na jagte rahiyo
KHwab aankhon mein palte rahiyo
ek lamhe mein faisla karna
umr bhar yan na sochte rahiyo
jo kisi ki suna nahin ab tak
us KHuda ko na pujte rahiyo
waqt ke sath sath chalna tum
ek jagah to na baiTh ke rahiyo
bhul kar bhi na lo yahan ehsan
is bala se to bhagte rahiyo
apni hasti hi kya so tum KHud ko
is jahan mein na DhunDte rahiyo
apni aadat udas rahna hai
so mere sath soch ke rahiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.