Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat damakti hai rah rah kar maddham si

Zeb Ghauri

raat damakti hai rah rah kar maddham si

Zeb Ghauri

raat damaktī hai rah rah kar maddham

khule hue sahrā ke haath pe nīlam

apnī jagah sāhil Thahrā ġham terā

dil ke dariyā meñ ik halchal paiham

lambī raat guzar jaa.e ta.abīroñ meñ

us paikar ek kahānī mub.ham

apnī lagāvaT ko vo chhupānā jāntā hai

aag itnī hai aur ThanDak hai shabnam

mere paas se uTh kar vo us jaanā

saarī kaifiyyat hai guzarte mausam

shāyad ab bhī koī sharar baaqī ho 'zeb'

dil raakh se aañch aatī hai kam kam

raat damakti hai rah rah kar maddham si

khule hue sahra ke hath pe nilam si

apni jagah sahil sa Thahra gham tera

dil ke dariya mein ek halchal paiham si

lambi raat guzar jae tabiron mein

us ka paikar ek kahani mubham si

apni lagawaT ko wo chhupana jaanta hai

aag itni hai aur ThanDak hai shabnam si

mere pas se uTh kar wo us ka jaana

sari kaifiyyat hai guzarte mausam si

shayad ab bhi koi sharar baqi ho 'zeb'

dil ki rakh se aanch aati hai kam kam si

Source :
  • Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 30)
  • Author :Zeb Ghauri
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now