raat din aag mein pala suraj
raat din aag meñ palā sūraj
ban charāġh-e-haram jalā sūraj
zindagī dhuup chhāñv donoñ hai
har kisī ko sikhā gayā sūraj
aaj jī bhar ke dhuup khānī hai
muddatoñ ba.ad hai ugā sūraj
sāñjh se ab visāl hone ko hai
sahmā sahmā thakā thakā sūraj
sāmnā pyaas se huā jab jab
aab kī samt chal paḌā sūraj
bhuul jā raat kā chubhā kāñTā
phuul ab to khilā gayā sūraj
koī maz.hab nahīñ lagā is kā
raushnī ik sī de gayā sūraj
nuur hī nuur hai mire andar
mujh meñ 'sīmā' samā gayā sūraj
raat din aag mein pala suraj
ban charagh-e-haram jala suraj
zindagi dhup chhanw donon hai
har kisi ko sikha gaya suraj
aaj ji bhar ke dhup khani hai
muddaton baad hai uga suraj
sanjh se ab visal hone ko hai
sahma sahma thaka thaka suraj
samna pyas se hua jab jab
aab ki samt chal paDa suraj
bhul ja raat ka chubha kanTa
phul ab to khila gaya suraj
koi mazhab nahin laga is ka
raushni ek si de gaya suraj
nur hi nur hai mere andar
mujh mein 'sima' sama gaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.