raat din chalta hai charcha kya kahen
raat din chaltā hai charchā kyā kaheñ
dekhte haiñ sab tamāshā kyā kaheñ
saḳht phandā hai hazāroñ saal kā
kis ne bin gāñThoñ ke bāñdhā kyā kaheñ
jugnuoñ kā jhunD man meñ aa basā
hai ujālā yā añdherā kyā kaheñ
lene dene se hue kitne vo ḳhush
khā ga.e donoñ hī dhokā kyā kaheñ
bādaloñ ke peḌ ug aa.e ghane
kab dhanak Dālegī jholā kyā kaheñ
bail kolhū meñ hai kab se ghūmtā
kaisī manzil kaisā rasta kyā kaheñ
raat din chalta hai charcha kya kahen
dekhte hain sab tamasha kya kahen
saKHt phanda hai hazaron sal ka
kis ne bin ganThon ke bandha kya kahen
jugnuon ka jhunD man mein aa basa
hai ujala ya andhera kya kahen
lene dene se hue kitne wo KHush
kha gae donon hi dhoka kya kahen
baadalon ke peD ug aae ghane
kab dhanak Dalegi jhola kya kahen
bail kolhu mein hai kab se ghumta
kaisi manzil kaisa rasta kya kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.