raat gae jab ghar jaenge
raat ga.e jab ghar jā.eñge
ḳhālī-pan se Dar jā.eñge
kamrā chīḳhtā rah jā.egā
ham chupke se mar jā.eñge
is dhartī meñ ek ḳhalā hai
aur use ham bhar jā.eñge
'sāra' 'sarvat' 'ānis' Thahro
ham chāroñ mil kar jā.eñge
khā leñge kuchh aisā vaisā
yā dariyā ke sar jā.eñge
raat gae jab ghar jaenge
KHali-pan se Dar jaenge
kamra chiKHta rah jaega
hum chupke se mar jaenge
is dharti mein ek KHala hai
aur use hum bhar jaenge
'sara' 'sarwat' 'anis' Thahro
hum chaaron mil kar jaenge
kha lenge kuchh aisa waisa
ya dariya ke sar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.