raat hai ya hawa makanon mein
raat hai yā havā makānoñ meñ
jal rahā hai diyā makānoñ meñ
jaane kyā ho gayā makīnoñ ko
jaane kyā ho gayā makānoñ meñ
log kin vāhimoñ meñ rahte haiñ
kāTte haiñ sazā makānoñ meñ
ik sitāra zamīn par utrā
aur phir kho gayā makānoñ meñ
aisā lagtā hai ḳhvāb kī ta.abīr
dekhtā hai ḳhudā makānoñ meñ
ek saa.e se roz hotā hai
āmnā-sāmnā makānoñ meñ
in sitāroñ kā mashġhala hai 'rasā'
tāknā-jhāñknā makānoñ meñ
raat hai ya hawa makanon mein
jal raha hai diya makanon mein
jaane kya ho gaya makinon ko
jaane kya ho gaya makanon mein
log kin wahimon mein rahte hain
kaTte hain saza makanon mein
ek sitara zamin par utra
aur phir kho gaya makanon mein
aisa lagta hai KHwab ki tabir
dekhta hai KHuda makanon mein
ek sae se roz hota hai
aamna-samna makanon mein
in sitaron ka mashghala hai 'rasa'
takna-jhankna makanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.