raat hui phir humse ek nadani thoDi si
raat huī phir ham se ik nādānī thoḌī sī
dil sarkash thā kar baiThā man-mānī thoḌī sī
thoḌī sī sarshārī ne dī gahrī dhund meñ raah
baham huī ā.ankhoñ ko tab āsānī thoḌī sī
bichhḌā vo to lauT aane kī raah na khoTī kī
kunj meñ dil ke chhoḌ gayā vīrānī thoḌī sī
yā-rab phir se bhej tilism-e-hosh-rubā koī
vaqt atā kar phir ham ko hairānī thoḌī sī
ham aaise be-māya kab the hāthoñ-hāth bikeñ
bāzāroñ tak le aa.ī arzānī thoḌī sī
na.ī ġhazal kā ruup nayā ho lekin aisā ho
ġhazloñ meñ ho ā.īna-sāmānī thoḌī sī
us ke chāl-chalan par mat jā yaar 'mujībī' tū
yuuñ bhī javānī hotī hai dīvānī thoḌī sī
raat hui phir hum se ek nadani thoDi si
dil sarkash tha kar baiTha man-mani thoDi si
thoDi si sarshaari ne di gahri dhund mein rah
baham hui aaankhon ko tab aasani thoDi si
bichhDa wo to lauT aane ki rah na khoTi ki
kunj mein dil ke chhoD gaya virani thoDi si
ya-rab phir se bhej tilism-e-hosh-ruba koi
waqt ata kar phir hum ko hairani thoDi si
hum aaise be-maya kab the hathon-hath biken
bazaron tak le aai arzani thoDi si
nai ghazal ka rup naya ho lekin aisa ho
ghazlon mein ho aaina-samani thoDi si
us ke chaal-chalan par mat ja yar 'mujibi' tu
yun bhi jawani hoti hai diwani thoDi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.