raat kali nahin to kya hogi
raat kaalī nahīñ to kyā hogī
pā.emālī nahīñ to kyā hogī
sher-goyoñ kī fitrat-e-sāda
lā-ubālī nahīñ to kyā hogī
us kī zambīl aur mirī zambīl
merī ḳhālī nahīñ to kyā hogī
lahn ik aur vo bhī vaqt-e-sub.h
vo bilālī nahīñ to kyā hogī
achchhe insānoñ kī tabī.at bhī
gar sifālī nahīñ to kyā hogī
shaam ke saa.e haiñ zavāl-pazīr
shab zavālī nahīñ to kyā hogī
māh-rū māh-rū se milte haiñ
lab pe laalī nahīñ to kyā hogī
ḳhvāja-e-mīr-'dard' kī har baat
gar misālī nahīñ to kyā hogī
raat kali nahin to kya hogi
paemali nahin to kya hogi
sher-goyon ki fitrat-e-sada
la-ubaali nahin to kya hogi
us ki zambil aur meri zambil
meri KHali nahin to kya hogi
lahn ek aur wo bhi waqt-e-subh
wo bilali nahin to kya hogi
achchhe insanon ki tabiat bhi
gar sifali nahin to kya hogi
sham ke sae hain zawal-pazir
shab zawali nahin to kya hogi
mah-ru mah-ru se milte hain
lab pe lali nahin to kya hogi
KHwaja-e-mir-'dard' ki har baat
gar misali nahin to kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.