raat ke aaKHiri pahar donon
raat ke āḳhirī pahar donoñ
chal paḌe apne apne ghar donoñ
chāñd dekhā to ho ga.e ham-lams
phir masā.il ko bhuul kar donoñ
aisā mumkin nahīñ Thahar jaa.eñ
ab kisī ek baat par donoñ
merī chaukhaT tak aa ga.ī thī raat
ham mayassar na the magar donoñ
rakhte haiñ 'ishq meñ abhī 'rāval'
muḳhtalif nuqta-e-nazar donoñ
raat ke aaKHiri pahar donon
chal paDe apne apne ghar donon
chand dekha to ho gae ham-lams
phir masail ko bhul kar donon
aisa mumkin nahin Thahar jaen
ab kisi ek baat par donon
meri chaukhaT tak aa gai thi raat
hum mayassar na the magar donon
rakhte hain 'ishq mein abhi 'rawal'
muKHtalif nuqta-e-nazar donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.