raat ke dard ka mara nikla
raat ke dard kā maarā niklā
chāñd bhī pāra-pāra niklā
aap samundar kī kahte haiñ
dariyā tak to khārā niklā
uubā duniyā kī har shai se
dil āḳhir banjāra niklā
sūraj ke aane tak chamkā
bāġhī ek sitāra niklā
aag na darbāroñ tak pahuñchī
muḳhbir ek sharāra niklā
jo samjhā thā ḳhud ko nāzir
vo bhī ek nazāra niklā
palTe dil ke safhe saare
sab par naam tumhārā niklā
raat ke dard ka mara nikla
chand bhi para-para nikla
aap samundar ki kahte hain
dariya tak to khaara nikla
uba duniya ki har shai se
dil aaKHir banjara nikla
suraj ke aane tak chamka
baghi ek sitara nikla
aag na darbaron tak pahunchi
muKHbir ek sharara nikla
jo samjha tha KHud ko nazir
wo bhi ek nazara nikla
palTe dil ke safhe sare
sab par nam tumhaara nikla
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 37)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.