raat ke munh par ujala chahiye
Interesting Fact
Maqta ( last couplet) refers to one of Saleem Ahmad famous quotes 'Aurat ki tarah shayari bhi bharpoor aadmi mangti hai'
raat ke muñh par ujālā chāhiye
chor ke ghar meñ bhī taalā chāhiye
ġham bahut din muft kī khātā rahā
ab use dil se nikālā chāhiye
paañv meñ juutī na ho to kuchh nahīñ
haañ magar ek-ādh chhālā chāhiye
haath phailāne se kuchh miltā nahīñ
bhiik lene ko piyāla chāhiye
yaad un kī yuuñ na jā.egī use
kuchh bahānā kar ke Taalā chāhiye
shā.erī māñge hai puurā aadmī
ab use bhī moñchh vaalā chāhiye
raat ke munh par ujala chahiye
chor ke ghar mein bhi tala chahiye
gham bahut din muft ki khata raha
ab use dil se nikala chahiye
panw mein juti na ho to kuchh nahin
han magar ek-adh chhaala chahiye
hath phailane se kuchh milta nahin
bhik lene ko piyala chahiye
yaad un ki yun na jaegi use
kuchh bahana kar ke Tala chahiye
shaeri mange hai pura aadmi
ab use bhi monchh wala chahiye
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 146)
- Author : Mohd Alvi
- Publication : Urdu Sahitya Acadami, Gujrat (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.