raat ke waqt koi git sunati hai hawa
raat ke vaqt koī giit sunātī hai havā
shāḳh-dar-shāḳh bhalā kis ko bulātī hai havā
sard raat apnī nahīñ kaTtī kabhī tere baġhair
aise mausam meñ to aur aag lagātī hai havā
ek mānūs sī ḳhushbū se mahaktī hai fazā
jab tū aatā hai bahut shor machātī hai havā
kin guzargāhoñ ke haiñ gard-o-ġhubār āñkhoñ meñ
roz patjhaḌ ke hameñ ḳhvāb dikhātī hai havā
zindagī jaltā huā ek diyā hai 'anjum'
dekhnā ye hai kahāñ jā ke bujhātī hai havā
raat ke waqt koi git sunati hai hawa
shaKH-dar-shaKH bhala kis ko bulati hai hawa
sard raat apni nahin kaTti kabhi tere baghair
aise mausam mein to aur aag lagati hai hawa
ek manus si KHushbu se mahakti hai faza
jab tu aata hai bahut shor machati hai hawa
kin guzargahon ke hain gard-o-ghubar aankhon mein
roz patjhaD ke hamein KHwab dikhati hai hawa
zindagi jalta hua ek diya hai 'anjum'
dekhna ye hai kahan ja ke bujhati hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.