raat kinara dariya din
raat kinārā dariyā din
raat ke pīchhe bahtā din
tū dhartī kī pahlī raat
maiñ dhartī kā pahlā din
tere badan meñ jaagī raat
mere badan meñ Duubā din
Dhaltā sūraj shāḳh huā
jhukā huā hai TuuTā din
ḳhālī kashtī sāhil par
chaḌhtā dariyā chaḌhtā din
mom kī battī jaisī shaam
tez havā kā jhoñkā din
us ne ḳhat meñ bheje haiñ
bhīgī raat aur bhīgā din
ham ne girah meñ bāñdh liyā
aadhā chāñd aur aadhā din
raat kinara dariya din
raat ke pichhe bahta din
tu dharti ki pahli raat
main dharti ka pahla din
tere badan mein jagi raat
mere badan mein Duba din
Dhalta suraj shaKH hua
jhuka hua hai TuTa din
KHali kashti sahil par
chaDhta dariya chaDhta din
mom ki batti jaisi sham
tez hawa ka jhonka din
us ne KHat mein bheje hain
bhigi raat aur bhiga din
hum ne girah mein bandh liya
aadha chand aur aadha din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.