raat ko bahar akele ghumna achchha nahin
raat ko bāhar akele ghūmnā achchhā nahīñ
chhoḌ aao us ko ghar tak rāstā achchhā nahīñ
ġhair ho koī to us se khul ke bāteñ kījiye
dostoñ kā dostoñ se hī gila achchhā nahīñ
ittifāqan mil gayā to pūchh lo mausam kā haal
kyuuñ nahīñ miltā vo us se pūchhnā achchhā nahīñ
chuum kar jis ko ḳhudā ke haath sauñpā thā 'nasīm'
us ke baare meñ hamesha sochnā achchhā nahīñ
raat ko bahar akele ghumna achchha nahin
chhoD aao us ko ghar tak rasta achchha nahin
ghair ho koi to us se khul ke baaten kijiye
doston ka doston se hi gila achchha nahin
ittifaqan mil gaya to puchh lo mausam ka haal
kyun nahin milta wo us se puchhna achchha nahin
chum kar jis ko KHuda ke hath saunpa tha 'nasim'
us ke bare mein hamesha sochna achchha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.