raat mein din qiyam karte hain
raat meñ din qiyām karte haiñ
ham charāġhoñ kā kaam karte haiñ
bebasī apnī 'aam karte haiñ
sab kā jiinā harām karte haiñ
dard kā ehtirām karte haiñ
ġham bhī jhuk kar salām karte haiñ
ham fidā haiñ adāoñ pe apnī
kaam ḳhud kā tamām karte haiñ
is se pahle ki dam nikal jaa.e
ham bhī kuchh kām-dhām karte haiñ
raat mein din qiyam karte hain
hum charaghon ka kaam karte hain
bebasi apni 'am karte hain
sab ka jina haram karte hain
dard ka ehtiram karte hain
gham bhi jhuk kar salam karte hain
hum fida hain adaon pe apni
kaam KHud ka tamam karte hain
is se pahle ki dam nikal jae
hum bhi kuchh kaam-dham karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.