raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah
raat phailī hai tere surma.ī āñchal kī tarah
chāñd niklā hai tujhe DhūñDne pāgal kī tarah
ḳhushk pattoñ kī tarah log uḌe jaate haiñ
shahr bhī ab to nazar aatā hai jañgal kī tarah
phir ḳhayāloñ meñ tire qurb kī ḳhushbū jaagī
phir barasne lagī āñkheñ mirī bādal kī tarah
be-vafāoñ se vafā kar ke guzārī hai hayāt
maiñ barastā rahā vīrānoñ meñ bādal kī tarah
raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah
chand nikla hai tujhe DhunDne pagal ki tarah
KHushk patton ki tarah log uDe jate hain
shahr bhi ab to nazar aata hai jangal ki tarah
phir KHayalon mein tere qurb ki KHushbu jagi
phir barasne lagi aankhen meri baadal ki tarah
be-wafaon se wafa kar ke guzari hai hayat
main barasta raha viranon mein baadal ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.