raat purani lagti hai
raat purānī lagtī hai
būḌhī naanī lagtī hai
maiñ raajā huuñ sapnoñ kā
aur vo raanī lagtī hai
jo merī sāñsoñ kī tarah
aanī jaanī lagtī hai
yaad aatī hai jab us kī
shaam suhānī lagtī hai
maiñ dīvāna lagtā huuñ
vo dīvānī lagtī hai
dil jab TūTne lagtā hai
duniyā faanī lagtī hai
shā.irī aap kī ai 'hāfiz'
apnī kahānī lagtī hai
raat purani lagti hai
buDhi nani lagti hai
main raja hun sapnon ka
aur wo rani lagti hai
jo meri sanson ki tarah
aani jaani lagti hai
yaad aati hai jab us ki
sham suhani lagti hai
main diwana lagta hun
wo diwani lagti hai
dil jab TuTne lagta hai
duniya fani lagti hai
shairi aap ki ai 'hafiz'
apni kahani lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.