raat sae se bhi jhagDa kar liya
raat saa.e se bhī jhagḌā kar liyā
ḳhud ko bilkul hī akelā kar liyā
bhūlne kī zid meñ ye kyā kar liyā
rañg hī yādoñ kā pakkā kar liyā
vo bhī ham se ajnabī ban kar milā
ham ne bhī lahje ko saada kar liyā
haath malte rah ga.e saare bhañvar
aur kashtī ne kinārā kar liyā
raat be-sudh ho ke so.egī yahāñ
is liye sūraj ne parda kar liyā
raat sae se bhi jhagDa kar liya
KHud ko bilkul hi akela kar liya
bhulne ki zid mein ye kya kar liya
rang hi yaadon ka pakka kar liya
wo bhi hum se ajnabi ban kar mila
hum ne bhi lahje ko sada kar liya
hath malte rah gae sare bhanwar
aur kashti ne kinara kar liya
raat be-sudh ho ke soegi yahan
is liye suraj ne parda kar liya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 675)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.