Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat sardi KHauf jangal aur main

Shakeel Azmi

raat sardi KHauf jangal aur main

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    raat sardī ḳhauf jangal aur maiñ

    ek laḌkī ek kambal aur maiñ

    bar hotel film picnic mastiyāñ

    chaar din jangal meñ mangal aur maiñ

    der tak karte haiñ terī guftugū

    ashtray whiskey botal aur maiñ

    ruuh tak jalte hue māthe shor

    ik hathelī narm komal aur maiñ

    gaañv maktab bachpanā taḳhtī kitāb

    khel thappaḌ maañ āñchal aur maiñ

    TūTte rahte haiñ miTTī ke liye

    phuul ḳhushbū rang bādal aur maiñ

    bhāgtī saḌkeñ dhuāñ gard-o-ġhubār

    auto rickshaw chauk bhāgal aur maiñ

    raat sardi KHauf jangal aur main

    ek laDki ek kambal aur main

    bar hotel film picnic mastiyan

    chaar din jangal mein mangal aur main

    der tak karte hain teri guftugu

    ashtray whiskey ki botal aur main

    ruh tak jalte hue mathe ka shor

    ek hatheli narm komal aur main

    ganw maktab bachpana taKHti kitab

    khel thappaD man ka aanchal aur main

    TuTte rahte hain miTTi ke liye

    phul KHushbu rang baadal aur main

    bhagti saDken dhuan gard-o-ghubar

    auto rickshaw chauk bhagal aur main

    Source :
    • Book : Dil Parinda Hai (Pg. 76)
    • Author : Shakeel Azmi
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : First
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now