aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab si koi be-yaqin raat thi

Javed Shaheen

ajab si koi be-yaqin raat thi

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    'ajab koī be-yaqīñ raat thī

    kahīñ thoḌā din thā kahīñ raat thī

    giraftār thī dard-e-zeh meñ bahut

    vo taḳhlīq avvalīñ raat thī

    thiiñ chīzeñ jahāñ shakl paane ke baa'd

    vahīñ din bhī thā aur vahīñ raat thī

    kahāñ thī ye jab tak ki zāhir na thī

    falak par ki zer-e-zamīñ raat thī

    mire saath jo mere bistar meñ thī

    vo sab se ziyāda hasīñ raat thī

    nikaltī thī jo raushnī dekhne

    kisī tiira ghar makīñ raat thī

    mile bhī to bikhre hue maah o saal

    kahīñ din paḌā thā kahīñ raat thī

    kisī ḳhaar mānind chubhtī rahī

    ba-zāhir baḌī maḳhmalīñ raat thī

    thā nārāz din mere ik fe'l par

    kisī baat par ḳhashm-gīñ raat thī

    ziyāda gahrī thī 'shāhīñ' shafaq

    baḌī der tak ātishīñ raat thī

    'ajab si koi be-yaqin raat thi

    kahin thoDa din tha kahin raat thi

    giraftar thi dard-e-zeh mein bahut

    wo taKHliq ki awwalin raat thi

    thin chizen jahan shakl pane ke ba'd

    wahin din bhi tha aur wahin raat thi

    kahan thi ye jab tak ki zahir na thi

    falak par ki zer-e-zamin raat thi

    mere sath jo mere bistar mein thi

    wo sab se ziyaada hasin raat thi

    nikalti thi jo raushni dekhne

    kisi tera ghar ki makin raat thi

    mile bhi to bikhre hue mah o sal

    kahin din paDa tha kahin raat thi

    kisi KHar manind chubhti rahi

    ba-zahir baDi maKHmalin raat thi

    tha naraaz din mere ek fe'l par

    kisi baat par KHashm-gin raat thi

    ziyaada hi gahri thi 'shahin' shafaq

    baDi der tak aatishin raat thi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ajab si koi be-yaqin raat thi Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now