Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kaTe

Zaki kakorvi

saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kaTe

Zaki kakorvi

MORE BYZaki kakorvi

    sāġhar-o-jām ko chhalkāo ki kuchh raat kaTe

    jaam ko jaam se Takrāo ki kuchh raat kaTe

    khaa.e jaatī hai ye tanhā.ī ye tārīki-e-shab

    do ghaḌī ke liye aa jaao ki kuchh raat kaTe

    chup tumhārī mujhe dīvāna banā detī hai

    aaj lillāh na sharmāo ki kuchh raat kaTe

    haañ ye va.ada rahā ab phir nahīñ rokeñge kabhī

    aaj kuchh der Thahar jaao ki kuchh raat kaTe

    sāz-o-naġhma sahī haañ mai-o-mīnā sahī

    sāqiyā jaam bhar laao ki kuchh raat kaTe

    ai 'zakī' hijr rāteñ nahīñ kaaTe kaTtīñ

    koī achchhī ġhazal gaao ki kuchh raat kaTe

    saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kaTe

    jam ko jam se Takrao ki kuchh raat kaTe

    khae jati hai ye tanhai ye tariki-e-shab

    do ghaDi ke liye aa jao ki kuchh raat kaTe

    chup tumhaari mujhe diwana bana deti hai

    aaj lillah na sharmao ki kuchh raat kaTe

    han ye wada raha ab phir nahin rokenge kabhi

    aaj kuchh der Thahar jao ki kuchh raat kaTe

    saz-o-naghma hi sahi han mai-o-mina hi sahi

    saqiya jam hi bhar lao ki kuchh raat kaTe

    ai 'zaki' hijr ki raaten nahin kaTe kaTtin

    koi achchhi si ghazal gao ki kuchh raat kaTe

    Source :
    • Saaz-e-dil

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now