raat si nind hai mahtab utara jae
raat sī niiñd hai mahtāb utārā jaa.e
ai ḳhudā mujh meñ zar-e-ḳhvāb utārā jaa.e
kyā zarūrī hai ki naav ko bachāne ke liye
har musāfir tah-e-girdāb utārā jaa.e
roz utartā hai samundar meñ sulagtā sūraj
kabhī sahrā meñ bhī tālāb utārā jaa.e
sau charāġhoñ ke jalāne se kahīñ achchhā hai
ik sitāra sar-e-mehrāb utārā jaa.e
pattharoñ meñ bhī ka.ī pech paḌe haiñ 'shāhid'
un pe bhī mausam-e-shādāb utārā jaa.e
raat si nind hai mahtab utara jae
ai KHuda mujh mein zar-e-KHwab utara jae
kya zaruri hai ki naw ko bachane ke liye
har musafir tah-e-girdab utara jae
roz utarta hai samundar mein sulagta suraj
kabhi sahra mein bhi talab utara jae
sau charaghon ke jalane se kahin achchha hai
ek sitara sar-e-mehrab utara jae
pattharon mein bhi kai pech paDe hain 'shahid'
un pe bhi mausam-e-shadab utara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.