raat tahriron ki ab yaksar KHayali ho gai
raat tahrīroñ kī ab yaksar ḳhayālī ho ga.ī
lafz jab jaage 'ibārat bhī nirālī ho ga.ī
anginat chehre the shahr-e-dil meñ lekin kyā kahūñ
vaqt kā saaya paḌā bastī ye ḳhālī ho ga.ī
jin kā ik ik lafz thā muzhda na.e mausam ke naam
haif un safhāt kī sūrat bhī kaalī ho ga.ī
dil ke mahbas se chale the qāfile yādoñ ke par
ik kiran palkoñ kī suulī par savālī ho ga.ī
ham-safar shā.istagī thī rahguzār-e-zīst meñ
phir bhī jis se baat kī har baat gaalī ho ga.ī
hādsoñ kī dhund se fankār ne jis ko gaḌhā
shukr hai us but kī peshānī ujālī ho ga.ī
kaise is mausam ko daur-e-gul kahūñ 'ummīd' maiñ
rang se mahrūm jab ik ek Daalī ho ga.ī
raat tahriron ki ab yaksar KHayali ho gai
lafz jab jage 'ibarat bhi nirali ho gai
anginat chehre the shahr-e-dil mein lekin kya kahun
waqt ka saya paDa basti ye KHali ho gai
jin ka ek ek lafz tha muzhda nae mausam ke nam
haif un safhat ki surat bhi kali ho gai
dil ke mahbas se chale the qafile yaadon ke par
ek kiran palkon ki suli par sawali ho gai
ham-safar shaistagi thi rahguzar-e-zist mein
phir bhi jis se baat ki har baat gali ho gai
hadson ki dhund se fankar ne jis ko gaDha
shukr hai us but ki peshani ujali ho gai
kaise is mausam ko daur-e-gul kahun 'ummid' main
rang se mahrum jab ek ek Dali ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.