raat tere KHwabon ne mujh par yun arzani ki
raat tire ḳhvāboñ ne mujh par yuuñ arzānī kī
saarī hasrat nikal ga.ī mirī tan-āsānī kī
paḌā huā huuñ shaam se maiñ isī bāġh-e-tāza meñ
mujh meñ shāḳh nikal aa.ī hai raat kī raanī kī
is chaupāl ke paas ik būḌhā bargad hotā thā
ek alāmat gum hai yahāñ se marī kahānī kī
tum ne kuchh paḌh kar phūñkā miTTī ke piyāle meñ
yā miTTī meñ guñdhī huī tāsīr hai paanī kī
kyā batlā.ūñ tum ko tum tak arz guzārne meñ
dil ne apne aap se kitnī khīñchā-tānī kī
raat tere KHwabon ne mujh par yun arzani ki
sari hasrat nikal gai meri tan-asani ki
paDa hua hun sham se main isi bagh-e-taza mein
mujh mein shaKH nikal aai hai raat ki rani ki
is chaupal ke pas ek buDha bargad hota tha
ek alamat gum hai yahan se mari kahani ki
tum ne kuchh paDh kar phunka miTTi ke piyale mein
ya miTTi mein gundhi hui tasir hai pani ki
kya batlaun tum ko tum tak arz guzarne mein
dil ne apne aap se kitni khincha-tani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.