raat ye kaun mere KHwab mein aaya hua tha
raat ye kaun mire ḳhvāb meñ aayā huā thā
sub.h meñ vādi-e-shādāb meñ aayā huā thā
ik parinde kī tarah uḌ gayā kuchh der huī
aks us shaḳhs kā tālāb meñ aayā huā thā
maiñ bhī us ke liye baiThā rahā chhat par shab bhar
vo bhī mere liye mahtāb meñ aayā huā thā
sard ḳhitte meñ sulagtā huā jañgal thā badan
aag se niklā to barfāb meñ aayā huā thā
ye to sad-shukr ḳhayāloñ ne tire khīñch liyā
maiñ to hālāt ke girdāb meñ aayā huā thā
yaad haiñ dil ko mohabbat ke shab-o-roz 'hasan'
gaañv jaise koī sailāb meñ aayā huā thā
raat ye kaun mere KHwab mein aaya hua tha
subh mein wadi-e-shadab mein aaya hua tha
ek parinde ki tarah uD gaya kuchh der hui
aks us shaKHs ka talab mein aaya hua tha
main bhi us ke liye baiTha raha chhat par shab bhar
wo bhi mere liye mahtab mein aaya hua tha
sard KHitte mein sulagta hua jangal tha badan
aag se nikla to barfab mein aaya hua tha
ye to sad-shukr KHayalon ne tere khinch liya
main to haalat ke girdab mein aaya hua tha
yaad hain dil ko mohabbat ke shab-o-roz 'hasan'
ganw jaise koi sailab mein aaya hua tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 430)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.