raaton ka karb din ki thakan mere sath hai
rātoñ kā karb din kī thakan mere saath hai
yādoñ kā ik darīda kafan mere saath hai
barsoñ se jal rahā huuñ maiñ qurbat kī aag meñ
nā-qābil-e-bayān chalan mere saath hai
mere liye to saañs bhī lenā muhāl hai
māhaul kī ye saarī ghuTan mere saath hai
āñkhoñ meñ bas ga.ī hai kisī shāḳh kī tarah
har ik qadam pe yād-e-dakan mere saath hai
'ahd-e-vafā ko terī tarah kaise toḌ duuñ
merā mizāj merā chalan mere saath hai
raaton ka karb din ki thakan mere sath hai
yaadon ka ek darida kafan mere sath hai
barson se jal raha hun main qurbat ki aag mein
na-qabil-e-bayan chalan mere sath hai
mere liye to sans bhi lena muhaal hai
mahaul ki ye sari ghuTan mere sath hai
aankhon mein bas gai hai kisi shaKH ki tarah
har ek qadam pe yaad-e-dakan mere sath hai
'ahd-e-wafa ko teri tarah kaise toD dun
mera mizaj mera chalan mere sath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.