raaton ke KHauf din ki udasi ne kya diya
rātoñ ke ḳhauf din kī udāsī ne kyā diyā
saaye ke taur leT ke chalnā sikhā diyā
kamre meñ aa ke baiTh ga.ī dhuup mez par
bachchoñ ne khilkhilā ke mujhe bhī jagā diyā
vo kal sharāb pī ke bhī sanjīda hī rahā
is ehtiyāt ne use mujh se chhuḌā diyā
jab koī bhī utar na sakā mere jism meñ
sab haal maiñ ne sirf usī ko sunā diyā
apnā lahū nichoḌ ke dekhūñgā ek din
jiine ke zahr ne use kyā kuchh banā diyā
raaton ke KHauf din ki udasi ne kya diya
saye ke taur leT ke chalna sikha diya
kamre mein aa ke baiTh gai dhup mez par
bachchon ne khilkhila ke mujhe bhi jaga diya
wo kal sharab pi ke bhi sanjida hi raha
is ehtiyat ne use mujh se chhuDa diya
jab koi bhi utar na saka mere jism mein
sab haal main ne sirf usi ko suna diya
apna lahu nichoD ke dekhunga ek din
jine ke zahr ne use kya kuchh bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.