raaton ki sunsan saDak par
rātoñ kī sunsān saḌak par
chalte haiñ yādoñ ke lashkar
dekh na yuuñ pīchhe muḌ muḌ kar
varna ho jā.egā patthar
miltī hai pairoñ ko tāqat
khā kar dekh kabhī tū Thokar
ghar hī be-gharī ye kab tak
koī na.ī dīvār nayā dar
qatl kā itnā shor huā hai
dekh rahā huuñ ḳhud ko chhū kar
vasl chalo manzūr hai yuuñ bhī
un kā patthar aur merā sar
raaton ki sunsan saDak par
chalte hain yaadon ke lashkar
dekh na yun pichhe muD muD kar
warna ho jaega patthar
milti hai pairon ko taqat
kha kar dekh kabhi tu Thokar
ghar hi be-ghari ye kab tak
koi nai diwar naya dar
qatl ka itna shor hua hai
dekh raha hun KHud ko chhu kar
wasl chalo manzur hai yun bhi
un ka patthar aur mera sar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.