raaton mein jab suni kabhi shahnai der tak
rātoñ meñ jab sunī kabhī shahnā.ī der tak
rag-rag meñ tere ġham ne lī añgḌā.ī der tak
sunte haiñ bazm-e-yār meñ chehre utar ga.e
kis ne vafā kī dāstāñ dohrā.ī der tak
ziine se āsmāñ ke utar aa.ī chāñdnī
āñgan meñ aa ke baiThī to sustā.ī der tak
ik muḳhtasar se lamhe ne pahchān chhīn lī
yuuñ to rahī hai un se shanāsā.ī der tak
miT miT ke naqsh dil pe ubharte rahe 'tapish'
zaḳhmoñ se kheltī rahī purvā.ī der tak
raaton mein jab suni kabhi shahnai der tak
rag-rag mein tere gham ne li angDai der tak
sunte hain bazm-e-yar mein chehre utar gae
kis ne wafa ki dastan dohrai der tak
zine se aasman ke utar aai chandni
aangan mein aa ke baiThi to sustai der tak
ek muKHtasar se lamhe ne pahchan chhin li
yun to rahi hai un se shanasai der tak
miT miT ke naqsh dil pe ubharte rahe 'tapish'
zaKHmon se khelti rahi purwai der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.