raaz dil ka bata ke pachhtae
raaz dil kā batā ke pachhtā.e
un kī bātoñ meñ aa ke pachhtā.e
haal pūchhā na zindagānī meñ
ḳhaak meñ vo milā ke pachhtā.e
koī apnā nazar nahīñ aayā
un kī mahfil meñ jā ke pachhtā.e
zaḳhm-e-dil par namak chhiḌakte haiñ
zaḳhm un ko dikhā ke pachhtā.e
naam hotā jo 'ishq meñ marte
ham to dāman bachā ke pachhtā.e
apne ashkoñ ko 'fauziya' pī lo
ye na ho vo rulā ke pachhtā.e
raaz dil ka bata ke pachhtae
un ki baaton mein aa ke pachhtae
haal puchha na zindagani mein
KHak mein wo mila ke pachhtae
koi apna nazar nahin aaya
un ki mahfil mein ja ke pachhtae
zaKHm-e-dil par namak chhiDakte hain
zaKHm un ko dikha ke pachhtae
nam hota jo 'ishq mein marte
hum to daman bacha ke pachhtae
apne ashkon ko 'fauziya' pi lo
ye na ho wo rula ke pachhtae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.