raaz-e-hasti tishna-e-tabir hai tere baghair
Interesting Fact
April 1944
rāz-e-hastī tishna-e-ta.abīr hai tere baġhair
zindagī taqsīr hī taqsīr hai tere baġhair
ziist kī har kāmyābī bhī mirī nazroñ meñ ḳhaak
ek be-buniyād sī ta.amīr hai tere baġhair
jis ko honā chāhiye thā tāza-dam kaliyoñ kā haar
vo nafas kā silsila zanjīr hai tere baġhair
haañ vahī lab jo tabassum kā ḳhazāna thā kabhī
aaj rehn-e-nāla-e-shab-gīr hai tere baġhair
dil kī hālat hai ki jaise ik tilism-e-be-kalīd
har tamannā harf-e-be-ta.abīr hai tere baġhair
ho nahīñ paatī koī āsān sī mushkil bhī sahl
kund sā har nāḳhun-e-tadbīr hai tere baġhair
chāñd barsātā hai jab rātoñ ko amrit kī phuvār
haañ usī kī har laḌī ik tiir hai tere baġhair
raushnī us ke kisī ruḳh par bhī aa paatī nahīñ
zindagī dhundlī sī ik tasvīr hai tere baġhair
aa agar begāna-e-ehsās terā dil nahīñ
terā 'mullā' ḳhasta-o-dil-gīr hai tere baġhair
raaz-e-hasti tishna-e-tabir hai tere baghair
zindagi taqsir hi taqsir hai tere baghair
zist ki har kaamyabi bhi meri nazron mein KHak
ek be-buniyaad si tamir hai tere baghair
jis ko hona chahiye tha taza-dam kaliyon ka haar
wo nafas ka silsila zanjir hai tere baghair
han wahi lab jo tabassum ka KHazana tha kabhi
aaj rehn-e-nala-e-shab-gir hai tere baghair
dil ki haalat hai ki jaise ek tilism-e-be-kalid
har tamanna harf-e-be-tabir hai tere baghair
ho nahin pati koi aasan si mushkil bhi sahl
kund sa har naKHun-e-tadbir hai tere baghair
chand barsata hai jab raaton ko amrit ki phuwar
han usi ki har laDi ek tir hai tere baghair
raushni us ke kisi ruKH par bhi aa pati nahin
zindagi dhundli si ek taswir hai tere baghair
aa agar begana-e-ehsas tera dil nahin
tera 'mulla' KHasta-o-dil-gir hai tere baghair
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 263)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.