raaz-e-ulfat ayan na ho jae
raaz-e-ulfat ayan na ho jae
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
rāz-e-ulfat ayaañ na ho jaa.e
sa.ī-e-ġham rā.egāñ na ho jaa.e
nā-umīdī hai ab to vaj.h-e-sukūñ
phir koī mehrbāñ na ho jaa.e
nigah-e-lutf se na dekh hameñ
phir tamannā javāñ na ho jaa.e
ham haiñ nāzāñ vafā pe vo shākī
yuuñ koī bad-gumāñ na ho jaa.e
ham to marte haiñ ai vafā vaalo
ḳhatm ye dāstāñ na ho jaa.e
ḳhāksāroñ ko to haqīr na jaan
ye zamīñ āsmāñ na ho jaa.e
ai nasheman ko kosne vaalo
barq ḳhud āshiyāñ na ho jaa.e
tere ash.ār kī zamīn 'sahar'
ġhairat-e-āsmāñ na ho jaa.e
raaz-e-ulfat ayan na ho jae
sai-e-gham raegan na ho jae
na-umidi hai ab to wajh-e-sukun
phir koi mehrban na ho jae
nigah-e-lutf se na dekh hamein
phir tamanna jawan na ho jae
hum hain nazan wafa pe wo shaki
yun koi bad-guman na ho jae
hum to marte hain ai wafa walo
KHatm ye dastan na ho jae
KHaksaron ko to haqir na jaan
ye zamin aasman na ho jae
ai nasheman ko kosne walo
barq KHud aashiyan na ho jae
tere ashaar ki zamin 'sahar'
ghairat-e-asman na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.