raaz khula to apni hi ruswai hai
raaz khulā to apnī hī rusvā.ī hai
kaise kah duuñ dushman merā bhaa.ī hai
ye jo calender meñ ek july hai
college meñ un se milvāne laa.ī hai
vo mere mehmān bane haiñ sardī meñ
kamra hai maiñ huuñ aur ek razā.ī hai
un kī nazar meñ rang jo sab se achchhā thā
maiñ ne usī rangat kī shirt silā.ī hai
āñgan meñ sonā hai to phir gaañv chalo
shahroñ meñ maujūd kahāñ añgnā.ī hai
rotā hai tanhā.ī meñ jo rab ke aage
us ke qalb kī hotī ḳhuub safā.ī hai
maiñ ne kisī se 'ishq kiyā hai phir 'ilyās'
tere diye zaḳhmoñ kī ye bharpā.ī hai
raaz khula to apni hi ruswai hai
kaise kah dun dushman mera bhai hai
ye jo calender mein ek july hai
college mein un se milwane lai hai
wo mere mehman bane hain sardi mein
kamra hai main hun aur ek razai hai
un ki nazar mein rang jo sab se achchha tha
main ne usi rangat ki shirt silai hai
aangan mein sona hai to phir ganw chalo
shahron mein maujud kahan angnai hai
rota hai tanhai mein jo rab ke aage
us ke qalb ki hoti KHub safai hai
main ne kisi se 'ishq kiya hai phir 'ilyas'
tere diye zaKHmon ki ye bharpai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.