raaz kya kya hain mere dil mein sunaun kaise
raaz kyā kyā haiñ mire dil meñ sunā.ūñ kaise
zaḳhm kis kis ne diye haiñ ye batā.ūñ kaise
terī yādeñ mujhe bechain to kartī haiñ magar
apne dil ko maiñ kahīñ aur lagā.ūñ kaise
terī āñkhoñ meñ nazar aatā hai sab kuchh mujh ko
terī āñkhoñ se nigāhoñ ko haTā.ūñ kaise
sab raqīboñ ne mujhe gher rakhā hai jānāñ
apnī jānib maiñ bulā.ūñ to bulā.ūñ kaise
sub.h hone pe bhī sūraj kā nahīñ nām-o-nishāñ
maiñ umīdoñ ke charāġhoñ ko bujhā.ūñ kaise
raaz kya kya hain mere dil mein sunaun kaise
zaKHm kis kis ne diye hain ye bataun kaise
teri yaaden mujhe bechain to karti hain magar
apne dil ko main kahin aur lagaun kaise
teri aankhon mein nazar aata hai sab kuchh mujh ko
teri aankhon se nigahon ko haTaun kaise
sab raqibon ne mujhe gher rakha hai jaanan
apni jaanib main bulaun to bulaun kaise
subh hone pe bhi suraj ka nahin nam-o-nishan
main umidon ke charaghon ko bujhaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.