rab raTa ta-umr lekin rab samajh pae nahin
rab raTā tā-umr lekin rab samajh paa.e nahīñ
ishq kar ke ishq kā matlab samajh paa.e nahīñ
aap ko patthar kī mūrat meñ faqat patthar dikhā
aap sab kuchh jaan kar bhī sab samajh paa.e nahīñ
zindagī ne ishq kī bārīkiyāñ samjhā.ī par
jab samajhnā thā hameñ ham tab samajh paa.e nahīñ
kis liye āñkhoñ ne pahnā āñsūon kā pairahan
ye haqīqat muskurāte lab samajh paa.e nahīñ
har parā.ī shai ko apnā maan kar jiite rahe
aur apne aap ko ham sab samajh paa.e nahīñ
rab raTa ta-umr lekin rab samajh pae nahin
ishq kar ke ishq ka matlab samajh pae nahin
aap ko patthar ki murat mein faqat patthar dikha
aap sab kuchh jaan kar bhi sab samajh pae nahin
zindagi ne ishq ki barikiyan samjhai par
jab samajhna tha hamein hum tab samajh pae nahin
kis liye aankhon ne pahna aansuon ka pairahan
ye haqiqat muskuraate lab samajh pae nahin
har parai shai ko apna man kar jite rahe
aur apne aap ko hum sab samajh pae nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.