rabt dil se koi banao tum
rabt dil se koī banāo tum
ishq na ranj hī nibhāo tum
iḳhtilāfāt bā-salīqa ho
ḳhud giro na hameñ girāo tum
phāgunī dhuup sī tirī sūrat
mask se na ise chhupāo tum
dil mire vo hañsī chhalāvā hai
ḳhvāh-maḳhvāh baat na baḌhāo tum
umr bhar dauḌtī mashīneñ haiñ
aadmī hai kahāñ dikhāo tum
gāḌiyāñ aish naukrī paisa
dostī meñ inheñ na laao tum
baad tere chale tirī ho kar
vo na.ī dāstāñ sunāo tum
gaañv maañ sā yahī pukāre hai
thak ga.e ho to lauT aao tum
rabt dil se koi banao tum
ishq na ranj hi nibhao tum
iKHtilafat ba-saliqa ho
KHud giro na hamein girao tum
phaguni dhup si teri surat
mask se na ise chhupao tum
dil mere wo hansi chhalawa hai
KHwah-maKHwah baat na baDhao tum
umr bhar dauDti mashinen hain
aadmi hai kahan dikhao tum
gaDiyan aish naukri paisa
dosti mein inhen na lao tum
baad tere chale teri ho kar
wo nai dastan sunao tum
ganw man sa yahi pukare hai
thak gae ho to lauT aao tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.