rabt har bazm se TuTe teri mahfil ke siwa
rabt har bazm se TuuTe tirī mahfil ke sivā
ranjisheñ sab kī gavārā haiñ tire dil ke sivā
aise pahlū meñ samā jaao ki jaise dil ho
chain miltā hai kahāñ mauj ko sāhil ke sivā
chīḳh Takrā ke pahāḌoñ se palaT aatī hai
kaun sahtā hai bhalā vaar muqābil ke sivā
ḳhushk pattoñ se chhuḌā letī haiñ shāḳheñ dāman
kis ne yādoñ se nibhā.ī hai yahāñ dil ke sivā
ek bichhḌe hue saa.e ke ta.āqub meñ 'bashar'
sabhī rāhoñ pe ga.e ham rah-e-manzil ke sivā
rabt har bazm se TuTe teri mahfil ke siwa
ranjishen sab ki gawara hain tere dil ke siwa
aise pahlu mein sama jao ki jaise dil ho
chain milta hai kahan mauj ko sahil ke siwa
chiKH Takra ke pahaDon se palaT aati hai
kaun sahta hai bhala war muqabil ke siwa
KHushk patton se chhuDa leti hain shaKHen daman
kis ne yaadon se nibhai hai yahan dil ke siwa
ek bichhDe hue sae ke taaqub mein 'bashar'
sabhi rahon pe gae hum rah-e-manzil ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.