rabt sanson ka kahegi raat baqi
rabt sāñsoñ kā kahegī raat baaqī
ab to ruk ruk kar chalegī raat baaqī
kaT ga.ī ik raat karte baat tujh se
kyā pata kaise kaTegī raat baaqī
ik mukammal zindagī kaise likhūñ maiñ
din mukammal par rahegī raat baaqī
jurm thā sañgīn tum ḳhvāboñ meñ aa.e
tab rihā.ī jab Dhalegī raat baaqī
baat jab koī nahīñ to shor kyā hai
raat bhar pūchhā karegī raat baaqī
vo mire pahlū meñ aa kar so ga.e haiñ
ab ġhazal jaisī chalegī raat baaqī
rabt sanson ka kahegi raat baqi
ab to ruk ruk kar chalegi raat baqi
kaT gai ek raat karte baat tujh se
kya pata kaise kaTegi raat baqi
ek mukammal zindagi kaise likhun main
din mukammal par rahegi raat baqi
jurm tha sangin tum KHwabon mein aae
tab rihai jab Dhalegi raat baqi
baat jab koi nahin to shor kya hai
raat bhar puchha karegi raat baqi
wo mere pahlu mein aa kar so gae hain
ab ghazal jaisi chalegi raat baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.