radd-o-kad ke bhi baad rah jae
radd-o-kad ke bhī ba.ad rah jaa.e
sher vo hai jo yaad rah jaa.e
ishq kā baab band hai to kyuuñ
nazam-e-bast-o-kushād rah jaa.e
ek din maiñ tujhe niDhāl karūñ
dil meñ itnā inaad rah jaa.e
Dhe ga.iiñ jab tamām buniyādeñ
kyuuñ dil-e-kaj-nihād rah jaa.e
pesh-e-chashm-e-junūñ faroshinda
dil-e-vahshat-nazhād rah jaa.e
radd-o-kad ke bhi baad rah jae
sher wo hai jo yaad rah jae
ishq ka bab band hai to kyun
nazam-e-bast-o-kushad rah jae
ek din main tujhe niDhaal karun
dil mein itna inad rah jae
Dhe gain jab tamam buniyaaden
kyun dil-e-kaj-nihad rah jae
pesh-e-chashm-e-junun faroshinda
dil-e-wahshat-nazhad rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.