radif qafiya bandish KHayal lafz-gari
radīf qāfiya bandish ḳhayāl lafz-garī
vo huur ziina utarte hue sikhāne lagī
kitāb baab ġhazal she'r bait lafz hurūf
ḳhafīf raqs se dil par ubhāre mast parī
kalām aruuz taġhazzul ḳhayāl zauq-e-jamāl
badan ke jaam ne alfāz kī surāhī bharī
salīs shusta murassā nafīs narm ravāñ
dabā ke dāñtoñ meñ āñchal ġhazal uThā.ī ga.ī
qasīda she'r musaddas rubā.ī nazm ġhazal
mahakte hoñToñ kī tafsīr hai bhalī se bhalī
majāz qaid mo'amma shabīh istiqbāl
kisī se aañkh milāne meñ adbiyāt paḌhī
qarīna sarqa ishāra kināya ramz savāl
hayā se jhuktī nigāhoñ meñ jhāñkte the sabhī
bayān ilm-e-ma.ānī fasāhat ilm-e-balāġh
bayān kar nahīñ sakte kisī kī ek hañsī
qayās qaid tanāsub shabīh saj.a nazīr
kalī ko chūmā to jaise kalī kalī se milī
tarannum 'arz mukarrar sunā.iye irshād
kisī ne suniye kahā bazm jhuum jhuum ga.ī
huzūr qibla janāb aap dekhiye sāhab
kisī kī shaan meñ goyā luġhat banā.ī ga.ī
harīr atlas-o-kamḳhvāb pankhuḌī resham
kisī ke phuul se talvoñ se shāh-māt sabhī
gulāb ambar-o-raihān motiyā lobān
kisī kī zulf-e-mo'attar meñ sab kī ḳhushbū milī
kisī ke marmarīñ ā.īne meñ numāyāñ haiñ
ghaTā bahār dhanak chāñd phuul diip kalī
kisī kā ġhamza sharāboñ se chuur qaus-e-quzah
adā ġhurūr javānī surūr ishva-garī
kisī ke shīrīñ-laboñ se udhār lete haiñ
miThās shahd rutab chīnī qand misrī Dalī
kisī ke nuur ko chuñdhiyā ke dekheñ hairat se
charāġh jugnū sharar āftāb phūl-jhaḌī
kisī ko chaltā huā dekh leñ to chalte baneñ
ġhazāl mornī maujeñ nujūm abr ghaḌī
kisī kī madh-bharī āñkhoñ ke aage kuchh bhī nahīñ
thakan sharāb davā ġham ḳhumār nīm-shabī
kisī ke saath nahāte haiñ tez bārish meñ
libās gajre ufuq aañkh zulf hoñT hañsī
kisī kā bhīgā badan gul khilātā hai aksar
gulāb raanī kañval yāsmīn champā-kalī
ba-shart-e-fāl kisī ḳhaal par maiñ vāruñgā
chaman pahāḌ daman dasht jhiil ḳhushkī tarī
ye jaam chhalkā ki āñchal bahār kā Dhalkā
sharīr shosha sharāra shabāb shar shoḳhī
kisī kī tursh-ruī kā sabab yahī to nahīñ
achār lemuu. anaar aam TāTrī imlī
kisī ke husn ko bin māñge baaj dete haiñ
vazīr miir sipāhī faqīh zauq-e-shahī
nigāheñ chaar huiiñ vaqt hosh kho baiThā
sadī dahā.ī baras maah roz aaj abhī
vo ġhuncha yakjā hai chūñki varā-e-fikr-o-ḳhayāl
palak na jhapkeñ to dikhlā.ūñ pattī pattī abhī
siyāh zulf ghaTā jaal jaadū jang jalāl
fusūñ shabāb shikāran sharāb raat ghanī
jabīñ charāġh muqaddar kushāda dhuup sahar
ġhurūr qahr ta'ajjub kamāl nuur bharī
zarīf abrū ġhazab ġhamza ġhussa ġhaur ġhazal
ghamanD qaus qazā ishq tanz niim saḳhī
palak fasāna sharārat hijāb tiir duā
tamannā niiñd ishāra ḳhumār saḳht thakī
nazar ġhazāl mohabbat naqāb jhiil ajal
surūr-e-ishq taqaddus fareb-e-amr-o-nahī
nafīs naak nazākat sirāt 'adl bahār
jamīl sutvāñ mo'attar latīf ḳhushbū rachī
gulābī gaal shafaq seb surḳhī ġhāza kañval
tilism chaah bhañvar naaz sharm narm-garī
do lab aqiiq guhar pankhuḌī sharāb-e-kuhan
lazīz narm mulā.im sharīr bhīgī kalī
nashīlī ThoḌī tabassum tarāzū chāh-e-zaqan
ḳhamīda ḳhandāñ ḳhajista ḳhumār patlī galī
galā surāhī navā giit soz aah asar
tarañg chīḳh tarannum tarāna sur kī laḌī
hathelī reshmī nāzuk malā.ī narm latīf
hasīn marmarīñ sandal safed duudh dhulī
kamar ḳhayāl maTaktī kalī lachaktā shabāb
kamān TūTtī añgḌā.ī hashr jān-kanī
parī ke paaoñ gulābī gudāz raqs-parast
taḌaptī machhliyāñ mehrāb-e-lab thiraktī kalī
janāb dekhā sarāpā gulāb marmar kā
abhī ye she'r the sheroñ meñ chāñd utrā kabhī
ġhazal huzūr bas apne talak hī rakhiyegā
vo ruuTh jā.egā mujh se jo us kī dhuum machī
jhukā ke nazreñ koī bolā iltimās-e-duā
uThā ke haath vo ḳhairāt-e-husn dene lagī
kashish se husn kī chandā meñ uTThe madd-o-jazr
kisī ko saañs chaḌhā sab kī saañs phuul ga.ī
jo us pe buuñd girī abr kapkapā uTThā
is ek lamhe meñ kaafī gharoñ pe bijlī girī
qayāmat aa ga.ī ḳhushbū kī kaliyāñ chīḳh paḌīñ
gulāb bolā nahīñ ġhāliban vo zulf khulī
tavāf kartī hai mā'sūmiyat yuuñ kamsin kā
ki qatl kar de 'adālat meñ bhī to saaf barī
badan pe hāshiya likhnā nigāh par tafsīr
muqallidīn haiñ shoḳhī ke apnī shaiḳh ka.ī
tamām shahr meñ sīna-ba-sīna phail ga.ī
kisī ke bhīge laboñ se vabā-e-tishna-labī
gulāb aur aisā ki tanhā bahār le aa.e
bahisht meñ bhī hai gunjān shoḳh gul kī galī
kamāl-e-lailā to dekho ki sirf naam liyā
''phir us ke baa'd charāġhoñ meñ raushnī na rahī''
gulābī āñkhoñ meñ aise bhañvar the mastī ke
sharāb Duub ke un meñ bahut halāl lagī
jasārat 'aks pe lab rakhne kī nahīñ karte
bahut huā bhī to palkoñ se gudgudī kar dī
na jaane pahlī nazar kyuuñ halāl hotī hai
kisī ke husn pe pahlī nazar hī mahñgī paḌī
chaman meñ ''phūl na toḌeñ'' likhā thā so ham ne
gulāb-zādī ko pahnā dī titliyoñ kī laḌī
kisī kā zulf ko lahrā ke chalnā uf tauba
sharāb-e-nāb azal ke nashe meñ mast parī
vo boltā hai to kānoñ meñ shahd gholtā hai
marīz-e-qañd pe qadġhan hai us ko sunñe kī
kalī ko chhoḌ ke naqsh-e-qadam pe baiTh ga.ī
qalam hilā.e binā titlī ne ġhazal kah dī
sanam aur aisā ki but us ke aage jhuk jaa.eñ
duā dī us ne to do deviyoñ kī god bharī
atā-e-husn thī 'qais' ik jhalak meñ shoḳh ġhazal
kitāb likhtā maiñ us par magar vo phir na milī
radif qafiya bandish KHayal lafz-gari
wo hur zina utarte hue sikhane lagi
kitab bab ghazal she'r bait lafz huruf
KHafif raqs se dil par ubhaare mast pari
kalam aruz taghazzul KHayal zauq-e-jamal
badan ke jam ne alfaz ki surahi bhari
salis shusta murassa nafis narm rawan
daba ke danton mein aanchal ghazal uThai gai
qasida she'r musaddas rubai nazm ghazal
mahakte honTon ki tafsir hai bhali se bhali
majaz qaid mo'amma shabih istiqbaal
kisi se aankh milane mein adbiyat paDhi
qarina sarqa ishaara kinaya ramz sawal
haya se jhukti nigahon mein jhankte the sabhi
bayan ilm-e-maani fasahat ilm-e-balagh
bayan kar nahin sakte kisi ki ek hansi
qayas qaid tanasub shabih saja nazir
kali ko chuma to jaise kali kali se mili
tarannum 'arz mukarrar sunaiye irshad
kisi ne suniye kaha bazm jhum jhum gai
huzur qibla janab aap dekhiye sahab
kisi ki shan mein goya lughat banai gai
harir atlas-o-kamKHwab pankhuDi resham
kisi ke phul se talwon se shah-mat sabhi
gulab ambar-o-raihan motiya loban
kisi ki zulf-e-mo'attar mein sab ki KHushbu mili
kisi ke marmarin aaine mein numayan hain
ghaTa bahaar dhanak chand phul dip kali
kisi ka ghamza sharabon se chur qaus-e-quzah
ada ghurur jawani surur ishwa-gari
kisi ke shirin-labon se udhaar lete hain
miThas shahd rutab chini qand misri Dali
kisi ke nur ko chundhiya ke dekhen hairat se
charagh jugnu sharar aaftab phul-jhaDi
kisi ko chalta hua dekh len to chalte banen
ghazal morni maujen nujum abr ghaDi
kisi ki madh-bhari aankhon ke aage kuchh bhi nahin
thakan sharab dawa gham KHumar nim-shabi
kisi ke sath nahate hain tez barish mein
libas gajre ufuq aankh zulf honT hansi
kisi ka bhiga badan gul khilata hai aksar
gulab rani kanwal yasmin champa-kali
ba-shart-e-fal kisi KHal par main warunga
chaman pahaD daman dasht jhil KHushki tari
ye jam chhalka ki aanchal bahaar ka Dhalka
sharir shosha sharara shabab shar shoKHi
kisi ki tursh-rui ka sabab yahi to nahin
achaar lemu anar aam TaTri imli
kisi ke husn ko bin mange baj dete hain
wazir mir sipahi faqih zauq-e-shahi
nigahen chaar huin waqt hosh kho baiTha
sadi dahai baras mah roz aaj abhi
wo ghuncha yakja hai chunki wara-e-fikr-o-KHayal
palak na jhapken to dikhlaun patti patti abhi
siyah zulf ghaTa jal jadu jang jalal
fusun shabab shikaran sharab raat ghani
jabin charagh muqaddar kushada dhup sahar
ghurur qahr ta'ajjub kamal nur bhari
zarif abru ghazab ghamza ghussa ghaur ghazal
ghamanD qaus qaza ishq tanz nim saKHi
palak fasana shararat hijab tir dua
tamanna nind ishaara KHumar saKHt thaki
nazar ghazal mohabbat naqab jhil ajal
surur-e-ishq taqaddus fareb-e-amr-o-nahi
nafis nak nazakat siraat 'adl bahaar
jamil sutwan mo'attar latif KHushbu rachi
gulabi gal shafaq seb surKHi ghaza kanwal
tilism chah bhanwar naz sharm narm-gari
do lab aqiq guhar pankhuDi sharab-e-kuhan
laziz narm mulaim sharir bhigi kali
nashili ThoDi tabassum taraazu chah-e-zaqan
KHamida KHandan KHajista KHumar patli gali
gala surahi nawa git soz aah asar
tarang chiKH tarannum tarana sur ki laDi
hatheli reshmi nazuk malai narm latif
hasin marmarin sandal safed dudh dhuli
kamar KHayal maTakti kali lachakta shabab
kaman TuTti angDai hashr jaan-kani
pari ke paon gulabi gudaz raqs-parast
taDapti machhliyan mehrab-e-lab thirakti kali
janab dekha sarapa gulab marmar ka
abhi ye she'r the sheron mein chand utra kabhi
ghazal huzur bas apne talak hi rakhiyega
wo ruTh jaega mujh se jo us ki dhum machi
jhuka ke nazren koi bola iltimas-e-dua
uTha ke hath wo KHairaat-e-husn dene lagi
kashish se husn ki chanda mein uTThe madd-o-jazr
kisi ko sans chaDha sab ki sans phul gai
jo us pe bund giri abr kapkapa uTTha
is ek lamhe mein kafi gharon pe bijli giri
qayamat aa gai KHushbu ki kaliyan chiKH paDin
gulab bola nahin ghaaliban wo zulf khuli
tawaf karti hai ma'sumiyat yun kamsin ka
ki qatl kar de 'adalat mein bhi to saf bari
badan pe hashiya likhna nigah par tafsir
muqallidin hain shoKHi ke apni shaiKH kai
tamam shahr mein sina-ba-sina phail gai
kisi ke bhige labon se waba-e-tishna-labi
gulab aur aisa ki tanha bahaar le aae
bahisht mein bhi hai gunjaan shoKH gul ki gali
kamal-e-laila to dekho ki sirf nam liya
phir us ke ba'd charaghon mein raushni na rahi
gulabi aankhon mein aise bhanwar the masti ke
sharab Dub ke un mein bahut halal lagi
jasarat 'aks pe lab rakhne ki nahin karte
bahut hua bhi to palkon se gudgudi kar di
na jaane pahli nazar kyun halal hoti hai
kisi ke husn pe pahli nazar hi mahngi paDi
chaman mein phul na toDen likha tha so hum ne
gulab-zadi ko pahna di titliyon ki laDi
kisi ka zulf ko lahra ke chalna uf tauba
sharab-e-nab azal ke nashe mein mast pari
wo bolta hai to kanon mein shahd gholta hai
mariz-e-qand pe qadghan hai us ko sunne ki
kali ko chhoD ke naqsh-e-qadam pe baiTh gai
qalam hilae bina titli ne ghazal kah di
sanam aur aisa ki but us ke aage jhuk jaen
dua di us ne to do dewiyon ki god bhari
ata-e-husn thi 'qais' ek jhalak mein shoKH ghazal
kitab likhta main us par magar wo phir na mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.