rafta rafta Dar jaenge
rafta rafta Dar jā.eñge
qistoñ meñ ham mar jā.eñge
maiñ ne chuġhlī khaa.ī to phir
dushman bhūkoñ mar jā.eñge
hikmat se aarī mansūbe
kitnoñ ke dar par jā.eñge
andar aisī ḳhāmoshī hai
sannāTe bhī Dar jā.eñge
haivānoñ se bach kar rahiye
sahrā ko bhī char jā.eñge
rafta rafta Dar jaenge
qiston mein hum mar jaenge
main ne chughli khai to phir
dushman bhukon mar jaenge
hikmat se aari mansube
kitnon ke dar par jaenge
andar aisi KHamoshi hai
sannaTe bhi Dar jaenge
haiwanon se bach kar rahiye
sahra ko bhi char jaenge
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 42)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.