rafta rafta dil mein ek uljhan nai pate hain hum
rafta rafta dil meñ ik uljhan na.ī paate haiñ ham
ham ye samjhe the ki un ko bhūlte jaate haiñ ham
is ko kyā kiije ki ye bhī khel hai taqdīr kā
DhūñDhte haiñ jab unheñ apnā pata paate haiñ ham
chand aahoñ par hamārī hai pareshānī unheñ
saikḌoñ sadme haiñ jo ḳhāmosh pī jaate haiñ ham
aisī duniyā se shikāyat kyā gila kyā rañj kyā
phuul barsātī hai duniyā aag barsāte haiñ ham
be-talab husn-e-atā kī shaan hī kuchh aur hai
aap kahte haiñ to liije haath phailāte haiñ ham
apnī rūdād-e-alam kī ab vo manzil aa ga.ī
koī suntā ho na suntā ho kahe jaate haiñ ham
lījiye tark-e-ta.alluq kā tahayya kar liyā
dekhnā ye hai use kab tak nibhā paate haiñ ham
ai vafūr-e-zindagī talḳhāba-e-hastī na pūchh
zehn kī ḳhush-fahmiyoñ se dil ko bahlāte haiñ ham
ranjish-e-bejā ne un kī kar diyā aalam hī aur
zindagī ke naam kī goyā sazā paate haiñ ham
dost nā-ḳhush aqrabā nārāz barham ghar ke log
sach kā dāman thaam kar achchhā sila paate haiñ ham
kuchh ajab fitrat hai 'qādir' dard-e-dil kī āj-kal
jab koī detā hai taskīñ aur ghabrāte haiñ ham
rafta rafta dil mein ek uljhan nai pate hain hum
hum ye samjhe the ki un ko bhulte jate hain hum
is ko kya kije ki ye bhi khel hai taqdir ka
DhunDhte hain jab unhen apna pata pate hain hum
chand aahon par hamari hai pareshani unhen
saikDon sadme hain jo KHamosh pi jate hain hum
aisi duniya se shikayat kya gila kya ranj kya
phul barsati hai duniya aag barsate hain hum
be-talab husn-e-ata ki shan hi kuchh aur hai
aap kahte hain to lije hath phailate hain hum
apni rudad-e-alam ki ab wo manzil aa gai
koi sunta ho na sunta ho kahe jate hain hum
lijiye tark-e-talluq ka tahayya kar liya
dekhna ye hai use kab tak nibha pate hain hum
ai wafur-e-zindagi talKHaba-e-hasti na puchh
zehn ki KHush-fahmiyon se dil ko bahlate hain hum
ranjish-e-beja ne un ki kar diya aalam hi aur
zindagi ke nam ki goya saza pate hain hum
dost na-KHush aqraba naraaz barham ghar ke log
sach ka daman tham kar achchha sila pate hain hum
kuchh ajab fitrat hai 'qadir' dard-e-dil ki aaj-kal
jab koi deta hai taskin aur ghabraate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.