rafta rafta sab manazir kho gae achchha hua
rafta rafta sab manāzir kho ga.e achchhā huā
shor karte the parinde so ga.e achchhā huā
koī aahaT koī dastak kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ
bhūlī bisrī ik kahānī ho ga.e achchhā huā
ek muddat se hamāre aa.ine pe gard thī
āñsuoñ ke sail us ko dho ga.e achchhā huā
bekalī koī na thī to dil baḌā be-zār thā
ab havādis dard is meñ bo ga.e achchhā huā
rang apnā ho numāyāñ shauq bejā thā hameñ
rāstoñ kī dhuul meñ ham kho ga.e achchhā huā
be-sabab rotā thā 'fikrī' aur rulātā thā hameñ
ab zamāna ho gayā us ko ga.e achchhā huā
rafta rafta sab manazir kho gae achchha hua
shor karte the parinde so gae achchha hua
koi aahaT koi dastak kuchh nahin kuchh bhi nahin
bhuli bisri ek kahani ho gae achchha hua
ek muddat se hamare aaine pe gard thi
aansuon ke sail us ko dho gae achchha hua
bekali koi na thi to dil baDa be-zar tha
ab hawadis dard is mein bo gae achchha hua
rang apna ho numayan shauq beja tha hamein
raston ki dhul mein hum kho gae achchha hua
be-sabab rota tha 'fikri' aur rulata tha hamein
ab zamana ho gaya us ko gae achchha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.