rafta rafta tarjumani dard ki
rafta rafta tarjumānī dard kī
shā.irī hai qadrdānī dard kī
zaḳhm-e-dil kā martaba shāhoñ sā hai
aur dil hai rājdhānī dard kī
ham se pūchho tum mazā taklīf kā
ham ne kī hai mezbānī dard kī
muskurāhaT bā-sabab hoñThoñ pe hai
ḳhush-numā ruḳh hai nishānī dard kī
zindagī meñ sab bhale ġhamgīn haiñ
hai alag sab kī kahānī dard kī
ġhamgusāroñ se kinārā kar liyā
dil ne āḳhir baat maanī dard kī
mar ga.e hote 'dinesh' us ke baġhair
jī rahe haiñ mehrbānī dard kī
rafta rafta tarjumani dard ki
shairi hai qadrdani dard ki
zaKHm-e-dil ka martaba shahon sa hai
aur dil hai rajdhani dard ki
hum se puchho tum maza taklif ka
hum ne ki hai mezbani dard ki
muskurahaT ba-sabab honThon pe hai
KHush-numa ruKH hai nishani dard ki
zindagi mein sab bhale ghamgin hain
hai alag sab ki kahani dard ki
ghamgusaron se kinara kar liya
dil ne aaKHir baat mani dard ki
mar gae hote 'dinesh' us ke baghair
ji rahe hain mehrbani dard ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.